karke wada tera muker jana

kitna mushkil hai khud ko samjhana
ya apne aap ko samajh pana.

hadse ki tarah hi lagta hai
tootna dil ka ya fisal jana.

koi hairat nahi dastoor hai yeh
waqt ke sath mein badal jana.

yehi hai apne raaj ka gawah
dekh mujhko tera sambhal jana.

bayan karti hai teri bebashi ko
badalke karwatein simat jaana.

barda afsosh paida karta hai
jubaan se baat ka nikal jana.

monika.. kaise bhool sakta hoon
karke wada tera muker jana.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts