jaane kyun cheen liya khuda ne usko mujhse

chaandni bhi fikki padh jaati thi uske aage,
jab meri jaan naha ke bahar aaya karti thi,

aadayein dekh uski bechain ho jata tha dil,
jis tarah gile baloon ko woh sehlaya karti thi.

madhosh karti thi uski chudion ki awaaz mujh ko,
jab woh banake chai mere liye laya karti thi,

zid karna.. lagta tha mujh ko acha uske aage,
kyunki uski pyaari daant mujhko bhaya karti thi.

uski maathe ki bindiya, uski aankhon ka kajal,
pal bhar mein mujhe deewana banaya karti thi,

hasti thi bahut, jab baat koi bhi kiya karti thi,
uski baaton mein jaise mishri samaya karti thi.

uske pas baithne ko dil machalta rehta tha,
woh jaadu mujh pe kuch aisa chalaya karti thi,

kitna bhi mushkil ho wakt, woh sambhalti thi mujhe,
na tutne deti, woh mera saath nibhaya karti thi.

uska woh sharmana aaj bhi yaad aata hai mujhe,
loon aagosh mein, woh ankhein band kiya karti thi,

jab chumon maathe ko pyaar se main kabhi,
woh sharma ke agosh mein bhikar jaaya karti thi.

udassi ka aalam hai aaj har taraf duniya mein,
woh to banke saaya mujhme samaya karti thi,

aaj ghar jaane ka mann nahi karta yaaro mera,
hoti thi woh to mujhe ghar jaldi bhulaya karti thi,

jaane kyun cheen liya khuda ne usko mujhse,
mera to din.. uski muskurahat banaya karti thi.

nahi karta aaj uske bina jeene ka mann mera,
uske saath zindagi jannat nazar aaya karti thi.

honge duniya mein aur bhi lakhon hasin yaaro,
meri jaan mein mohabaat ki devi samaya karti thi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts