tanhaayi me ek jam jo usne pilaya hota

saath agar kismat ki lakeeron ne nibhaya hota,
chaand daaman me apne ek humne bhi chupaya hota,

wo andheron me rahi par na kabhi aawaz di mujhko,
roshani dene ko usse khud ko humne jalaya hota,

yun to rula jaati hai har roz dhaalti sham,
sajj jaati wahi sham jo usne hasaaya hota,

hamsafar na sahi, hamsaya hi bana ker chalte,
riwaaz wafa ka koi to usne nibhaya hota,

bata deti bas itna ki kis raah se gujaregi,
uss raah ko palko se humne sajaya hota,

tamaam umrr guzar jaati shusur me tammana,
tanhaayi me ek jam jo usne pilaya hota,
tanhaayi me ek jam jo usne pilaya hota...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts