main rona chahta hun

kahin khud ko chhupakar iss duniya se,
dub kar kahin dur dard ki gehraiyo me tere pyar ki,
apne aap se kuch kehna chahta hu,
main tere godh me sar rakhker rona chahta hun…..

paakar khud ko akela,
sunkar iss dil ki pukar,
jis tarah se main seh pata hun,
wahin dekh kar iss bheed ko,
main chup sa ho jata hun

bin tere iss safar me,
main khud hi kho jata hun,
main tere godh me sar rakhker rona chahta hun…..

sapno ne dhoka diya,
jo khawabo ka sath diya,
bas gaye the tum jisme aarso pehle,
sunkar ab us dil ki majbooriyaan,
aankhon se kuch kehna chahta hun,
main tere godh me sar rakhker rona chahta hun…..

unn beete lamho ko bhulakar,
basakar tujhe in aankhon me,
main phir se seham sa jata hun..

kyon ki..
ho jati hai shikayat in aankhon ko dil se,
jo main tujhse ye keh bhi nahi pata hun,
main tere godh me sar rakhker rona chahta hu,….

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts