kismat ka masiha

kismat ka masiha zindgi me khusiyan likhna bhool gaya,
aashkon ke saaye me hum aaj tak apne gam dekhte rahe,

na koi apna tha na kisi ne sache dil se pyar kiya humse,
pyar ka ummid liye bas uske sitam dekhte rahe,

jaane waala to apne kadmo ke nishaan bhi mita gaya,
aur hum aashkon se bhigi palke pe nam dekhte rahe,

baad uske duniya ne bhi kureda mere zakhmo ko,
toota jo dard ki hadd, to har taraf marham dekhte rahe,

na sehlaya, na kisi ne haal-e-dil hi poochha humse,
aur hum khuda se reham-o-karam dekhte rahe,

kuch is kadar diwana bana gayi woh apni surat ka humein,
ki har chehare me hum bas apna sanam dekhte rahe,

jo ek janam ke saath ka bhi wada pura na kar paayi humse,
raah ussi humsafar ki hum har janam dekhte rahe…

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts