ek aurat ki kaahani

kisi ko dil me basaya magar pyar na kar saki,
ghut ghut ke jeeti rahi magar khul ke wo na mar saki,
maa baap ne daman kisi gair ka pakda diya,

woh kya karti...
baba ki izzat ka sawal tha, to inkar bhi na kar saki...

jise pyar kiya uski nazro me bewafa bani,
jiske liye usse chorda usse bhi wo wafa na kar saki,
hamsfar aisa mila jise usspe kabhi aitbaar na hua,
woh sab ke liye qurbaan huyi
magar koi uska kadrdan na hua...
kya kare, wo ek aurat hai...
kuch kar bhi to nahi sakti...

marne ka dil hota hai magar bacho ko dekh mar bhi nahi sakti,
hasti rahti hai sabke samne apne gum ko chhupane ke liye...
woh to kab ki mar chhuki hai, zinda hai to bas zamane ke liye...

bachpan me hi shadi ke bandhno me bandh gayi yahi hai khani uski,
ghar baar aur bachcho ke bich hi khatam ho ke rah gayi jawani uski...

kisi ne dard na samjha, kisi ne usko na jana,
jab apne na huye to begano ko pada apna bnana...
kya kare.. kuch kar bhi to wo nahi sakti,
bachcho ka khyal hai isliye mar bhi to nahi sakti.....

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts