aaj phir barsaat ka bahana hai

aaj phir baarish ka bahana hai,
kisi ki yaad mein kho jane ka mausam hai,

aaj tamannaoon ko umardna hai,
aaj phir kisi ki yaad mein aanshuoon ko bahana hai,

jo saath bitaye the kabhi unke,
un palloon ko yaad karna hai,

hasste huye barsaat mein bheeg ke,
apne aanshuon ko chupana hai,

dil mein jo aag aap ke liye,
usse barsaat se bhujana hai,
aaj phir barsaat ka bahana hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts