kisi ko koi fark bhi nahi parda hai

mere seene mein bhi dil dharkta hai,
yeh bhi kisi se mohabbat karta hai,
har bar jo zakhm milta hai,
woh mera dil nahi seh sakta hai,

har dost jo mera apna hai,
mere zakhmon per namak chirdhakta hai,
main pyar jisse karta hoon,
woh mohabbat paiso se karti hai,

dard jab hadd se guzarta hai,
dawa mere liye kaam nahi karta hai,
har dost mujh se door chala jata hai,
kyu mera kismat koi nahi badalta hai,

har dar per ruswa hota hoon,
na jane kyun har koi jhatak jata hai,
main tardap kar mar bhi jaon to,
kisi ko koi fark bhi nahi parda hai.


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts