yeh haadsa mere saath ho gaya kaise

yeh haadsa mere saath ho gaya kaise,
mujhe meri kismat ne barbaad kar diya kaise?

kuch waqt tak to sab theek chal raha tha,
mere safar ka rasta yun badal gaya kaise?

jahan tak nazar gayi tannhai nazar aayi,
ya khuda.. main ek pal mein yun tannha ho gaya kaise?

ek waqt tha jab har koi tha mere saath kashti mein sawar,
yakin nahi aata.. unhone mujhe samundar mein dubba diya kaise?

kya kuch nahi sochha tha maine apni iss zindagi ke liye,
aankhon mein basa tha jo khwab pura hone ke liye,
woh bas ek khwab.. rah gaya kaise?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts