uff yeh mobile phone

yeh mobile yun hi hatta katta nahi bana,
bahut kuch khaya piya hai issne,

yeh haat ki ghadi khaa gaya,
yeh torch-light khaa gaya,
yeh chhiti-patriyan khaa gaya,
yeh kitabein khaa gaya.

yeh radio khaa gaya,
yeh tape-recorder khaa gaya,
yeh camera khaa gaya,
yeh calculator khaa gaya.

yeh padosh ki dosti khaa gaya,
yeh mail-milap khaa gaya,
yeh hamara waqt khaa gaya,
yeh hamara sukkun khaa gaya.

yeh paise khaa gaya,
yeh rishte khaa gaya,
yeh yaadaast khaa gaya,
yeh tanduristi khaa gaya.

kambakkt itna kuch khaa kar hi
yeh smart phone hai banna,
badalti duniya ka aisa asar hone laga,
aadmi paagal aur phone smart hone laga.

jab tak phone wire mein bandha tha
insaan aazad tha,
jab se phone aadaz hua hai,
insaan phone se bandh gaya hai.

ungliyaan hi nibha rahi hai rishte aaj-kal,
jubaan se nibhaane ka waqt hai kaha?
sab touch mein busy hain,
par touch mein dekho koi nahi hai....

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts