ab chordho bhi yeh duniya jahaan ki baatein

ab chordho bhi yeh duniya jahaan ki baatein,
chaliye hum khud ko hi aazmaaein,
kitni sachhaai hai apne bheetar,
duniya ko na sahi, khud ko hi dikhlaein,

kitne dard hamaare apne hi piroye hain,
kitni baar hum jhoote aanshu roye hain,
kab kab mujrim theharaya auron ko,
jabki jhooth ke paudhe hamne hi boye hain.

ab aisi bhi gairat ki diwaar kya,
jo adna-adna se jhoothon se banaayi jaaye,
gar swarg milti ho to aur baat,
afsos, jhooth bhi isliye ke apni baat reh jaaye.

aye nek insaanon bahaduri jism se nahi,
apne dilon aur dimaagon se dikhao,

zamaane ko jhukaana aur baat hai,
pehle sachh apnaane ki himmat to jutaao.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts