jurm itna hai ki bas unhein chaha

jaate lamhon ko rokna chaha,
phir tera haal puchhna chaha,

wafa mangi thi wafa ke badle,
sochta hoon yeh maine kya chaha.

barish -e- khawab-o-khayalon mein,
ek murakh ne bheegna chaha.

kitni umeedein, kitni hasratein hain,
humne tujhe kya na dilana chaha.

main tere jaise naamdaar to nahi,
gar tujhko chaha to kya bura chaha.

bichhad ke tujhse agar jee na saka,
marna chaha to kya bura chaha.

nakami jaban kholne nahi deti,
kya bataun ke maine kya chaha.

saza yhe hai ke umra bhar tardpo,
jurm itna hai ki bas unhein chaha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts