koi yaad humein bhi karta ho

iss ajnabi anjaan nagar mein,
iss be-reham veeran shahar mein,

jahan na apna hai na paraya koi,
na saathi hai na sangi koi,

in tanhayon ke dairay mein,
na umeedion ke ghairay mein,

aur gham ke ghor andhere mein,
jab bhi aas ka diya bujhne laga,
aur umeed ka daman chutne laga,


to aise mein bas jugno hain kuch yaadon ke,
kuch beete dino ki baaton ke
yaadain kuch beeti baharon ke,

kuch apno ke kuch pyaron ke,
jo hum ko yaad dilati hain,
jeene ki aas dilate hain.

ki shayed kisi ki baaton mein,
aur shayed kisi ki aankhon mein,

apni yaad ka deep bhi jalta ho,
aur shayed kahin par door bohat,
koi yaad humein bhi karta ho. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts