na badle kabhi hum na hamare khayalat

kuch log badal gaye hain,
iss raat ki tannhaiyon ke, 
sab rang badal gaye hain,

chand nikla hai waise hi,
andhere badal gaye hain,

jinke bharose thi khusiyan,
woh badal gaye hain.

manzile to abb bhi wo hi hain,
kuch raste badal gaye hain.

jinpe kiya tha bharosa humne,
woh dost bichard gaye hain.

dekhe the kabhi jo humne,
woh kahwab badal gaye hain,

jo bane the kabhi hamsafar,
aaj woh hi mukarr gaye hain.

aise tute huye dil ke sare,
jazbaat badal gaye hain.

na badle kabhi hum,
na badle hamare khayalat.

bas rona hai yahi,
kuch log badal gaye hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts