kismat ko shayad kuch aur irada tha

hasne ka irada tha, rone ka irada tha,
gum aur khushi mein sath hone ka irada tha,
ruthe woh jo humse to marne ka irada tha,
iss jaan ko kurban karne ka irada tha.

bad-kismati hai meri ki jee rahe hain hum,
kismat ko shayad kuch aur irada tha,
nazre mila lete hain hum bhi sar utha ke ab,
yeh be-adabgi karne ka pahle na irada tha.

abaad jo hua tha to ab sochta hoon main,
barbad ussi din mera hone ka irada tha,
har baar toot ke bhi phir judta gaya kyonki,
har baar mera shayad bikharne ka irada tha.

toota jo yeh bharam jahan mein hai 
koi mere,
duniya se ussi roz rukhsat ka irada tha,
jo pyar pa kar khud ko khuda maan lete hain,
aise logon ke beech na jeene ka irada tha. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts