raat ke aate hi mujhko ek dar sa laga rehta hai

raat ke aate hi mujhko ek dar sa laga rehta hai,
iski khamoshi mein jo dil ka shor sunayi deta hai,

din to bas yunhi kisi tarah mere katt jaate hain,
sach kahu to unme bhi tere khyaal aate-jaate hain,

aajao ke tumse mujhe bahaut si baatein karni hain,
meri saase meri aankhe mera dard bayaan karti hain,

chand ki chandni to har taraf dikhayi deti hai,
meri ankhein to tujhko dekhne ko taras jaati hai,

suna hai aaj woh be-khabar mere shaher mein aaye hain,
saath apne woh apna dilkash humsafar bhi laaye hain,

dekh ke unhein aaj dil mera tukde tukde toota hai,
jaanke us bedardi ne mera aaj sab kuch loota hai,

chaah kar bhi is dilse uski tasveer nahi utarti hai,
pyaar iss kadar hai ki ab to nafrat bhi nahi hoti hai,

kya kahun mein ab aur samajh mere nahi aata hai,
jaan gaya hoon ab ke yeh pyar mehez ek dikhawa hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts