apana to ab na ghar hai na koi thikana

kahte the woh ki judaai mein dil na jalana,
jab bhi yaad aaye hamari paas chale aana,

aaj gaye hum unke paas lekar dare-e-dil apana,
to woh kahte hain jara apana parichay to karana.

unko to mil gayi khushiyan zamane ki doston
apana to ab na ghar hai na koi thikana,

humne pyar kiya tha unse koi gunah nahi,
tumhari nazar mein gar pyar gunah hai to humein bhi batana. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts