ek tadap ek ahsas ek dard ka sila hai

ek tadap ek ahsas, ek dard ka sila hai,
ke gum ka har fasana to tohfe mein mila hai,

hum to samajhte the hum hi hain dard ke maare iss jahan mein,
par yahan to dard ke maroon ka kafila hai.

ke khwahise na jaane kahan gum ho gayi  bheed mein,
phir bhi jamane se na humko koi gila hai,

ke hum to chahte hai ke gulsan ho jaaye yeh duniya saari,
ek phool bhi na khushiyon ka mere gulshan mein khila hai,

muddaton se mil rahe hai zakhm bas tannhi mein,
ke waqt ne hi yaar dil ka zakhm har sila hai.

ek tadap ek ahsaas ek dard ka sila hai,
roke hain sailaab kitne palko ke kinaro pe,

har gadhi in aashuon ka waar humko mila hai,
jism bas ek laas hai, yeh kab mile phursat mujhe,

lagta hai ghut ghut ke jeena iss bar humko mila hai,
ek tadap ek ahsaas ek dard ka sila hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts