bahut takleef deta hai

mujhe na saans aati hai,
na mera dum nikalta hai,
magar yeh beech ka aalam,
bahut takleef deta hai.

samandar na nigalta hai,
na saahil par patkkta hai,
magar yeh dubbna ubharna,
bahut atakleef deta hai.

jo tum bolo to sawar jaayein,
jo tum bolo to bikhar jaayein,
magar yeh tootna jurdna,
bahut takleef deta hai.

jo tum maano to batlaayein,
jo tum samjho to samjhaayein,
tumhare bin adhurapan,
bahut takleef deta hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts