bannd karo apni ye prem kahani tanha tanha

bita bachpan mera tannha, biti jawani tannha tannha,
shor samandar ka chup hai jaise, dariya ka pani tannha tannha.

raaz sine mein dabakar chup betha hoon patthar pe,
soch raha hoon biti baatein ek diwana tannha tannha.

log alag hai, mijaz alag hai, phir bhi kat jaati hai umare,
bunti hai ghar ki budhi dadi kaise, kahani tannha tannha.

ek choti si chingari se aag jo dil mein lagti hai,
pard jati hai mushkil woh phir aag bujhani tannha tannha.

woh jo khade hain bich agan mein, raat dhal jaane ke baad,
lagta hai jaise koi khadi ho raat ki rani tannha tannha.

ab bhi raaj sochte ho.. unse miloge kisi din tum?
bannd karo apni tum.. yeh prem kahani tannha tannha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts