tumhaari kuch cheezein ab bhi mere paas baaki hain

tumhaari kuch cheezein ab bhi mere paas baaki hain,
tumhaare saath guzaare lamhon ke phool,
meri yaadon ke kitab mein ab bhi mehakte hain.


tumhari palkon se uthaaya ek bheega sa sapna, 

maine apni band mutthi mein ab bhi chupa rakha hai.

meri dehleez pe tumhaare kadmon ki aahat,
aaj bhi waise hi goonjti hai.

tumhaare honthon ka surkh rang, 
har shaam meri duniya ko rang jaata hai.

tumhaare kaano ki tooti baliyan,
mere aasmaan ke chamakte chaaand taare hain.

tumhare haanthon ke woh kanp-kan-paahat,
ab bhi mere gaalon par mehsus hoti hain.

tumhare dupatte ka woh rangeen saaya, 
ab bhi mere khayaalon par lehrata hai.

tumhaari kuch cheezein ab bhi mere paas baaki hain,
jo chaaho to waapas maang lena.

jaate jaate kucch faasle par
bas ek baar palat kar muskuraa dena.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts