zakhm kitne gehre hain
haathon ki lakiron ke,
aashun bhi ab na nikle
inn be-zubaan tasviron ke.
himmat bhi haar chuki hai
khud apni hi chhoton se,
dekh zindagi darti hai
ab aane waali mauton se.
bikhar gayi sari khusiyan
ab ujhard gaya yeh registan.
hua aisa chalni-chalni
bikne laga sarhad ka imaan.
haathon ki lakiron ke,
aashun bhi ab na nikle
inn be-zubaan tasviron ke.
himmat bhi haar chuki hai
khud apni hi chhoton se,
dekh zindagi darti hai
ab aane waali mauton se.
bikhar gayi sari khusiyan
ab ujhard gaya yeh registan.
hua aisa chalni-chalni
bikne laga sarhad ka imaan.
No comments:
Post a Comment