mere priye..
main tumse wada to nahi kerta
ki tumhein main rok sakoon,
khuda na kare..
koi aisa waqt aaye,
tumhein koi sunna na chahe,
to iss shaks ko pukaar lena.
main tumse wada kerta hoon
main bilkul chup rahoonga,
lekin mere dost, mere dard ke sahil,
kisi din gar aisa ho..
tum mujhe pukaaro.
aur koi jawaab na aaye,
to jaldi chale aana,
shayad mujhe tumhaari jaroorat ho,
shayad mujhe tumhaari jaroorat ho.
mere antarman mein jagah paane wale,
mere har ehsaas ko janne wale,
jab kahi..
mere har ehsaas ko janne wale,
jab kahi..
duniya se be-jaar ho jaao,
aur rone ka man kare,
mere paas aa jana!
wada to nahi tumhein hasane ka,
par itna to jaroor karoonga,
tum sang ussi tarah ro doonga.
phir kisi din..
tum iss be-zaar zindagi se bhaagna chaho.
bina jhijhak, mujhe bulana jaroor!
aur rone ka man kare,
mere paas aa jana!
wada to nahi tumhein hasane ka,
par itna to jaroor karoonga,
tum sang ussi tarah ro doonga.
phir kisi din..
tum iss be-zaar zindagi se bhaagna chaho.
bina jhijhak, mujhe bulana jaroor!
main tumse wada to nahi kerta
ki tumhein main rok sakoon,
par itna wada jaroor kerta hoon,
ki tum sang bhaag chaloonga.
ki tum sang bhaag chaloonga.
khuda na kare..
koi aisa waqt aaye,
tumhein koi sunna na chahe,
to iss shaks ko pukaar lena.
main tumse wada kerta hoon
main bilkul chup rahoonga,
lekin mere dost, mere dard ke sahil,
kisi din gar aisa ho..
tum mujhe pukaaro.
aur koi jawaab na aaye,
to jaldi chale aana,
shayad mujhe tumhaari jaroorat ho,
shayad mujhe tumhaari jaroorat ho.
No comments:
Post a Comment