ek bewafa se wafa hum nibhate rahe

bewafa na woh na main, hum apne karam nibahte rahe,
main sehta raha sitam sare, aur woh sitam dhaate rahe,

kis baat ki kahani kahun, kis baat ke fasaane sunaun,
liktha raha naam jo dil pe, woh dil se sanam mita-te rahe,

iss gali phir uss gali mein, pairon par zulm karte chala,
kehta gaya apna unhein, woh gairon ko  khas bataate rahe,

nazron mein bache ehsaas uski nishani bana sambahle,
main roya gham-e-judai pe, woh mehfil-e-jasan manate rahe,

pyaasi raahon se kya poochun pata dar-a-mohabbat ka,
rahe sambhalte kaanton par, woh be-raham bichaate rahe,

aasra unka kahan.. khuda bhi jo kare sache pyaar yahan,
hum mitt gaye chahat mein unki, aur woh veham batate rahe,

haan bewafa woh kaise, usne bewafai se wafa to ki yaar,
meri bhi khoob kaho, wafa unse hardam nibhate rahe.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts