insaan ki fitrat kya kahiye

insaan ki fitrat kya kahiye,
murdon mein khazana doond liya,
kahaan beche jism ke ango ko,
uska bhi thhikana doond liya.

chordein na marghat mein woh kafan,
karte na har tan ko woh dafen,
insaan ki keemat kuch bhi nahin,
apno ne thhikana doond liya.

noukar ho chahe vyapaari,
chahe ho baabu sarkaari,
doulat ke bhukhe-nango ne,
unka bhi thhikana doond liya.

kishton mein jab log bikne lage,
apno ke sang woh dikhne lage,
ehsaas marre yun apno ke ,
unko fuslaana doond liya.

jab pal-pal yun hi marne lage,
aise manzer jab chalne lage,
to umra ghati shaitanon ki,
jab humraaz dewana doond liya.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts