thoda dard, thodi hairaani, thodi tanhaai aur meri kahaani

yeh duuriyaan, khaamoshiyaan, berukhi, madhoshiyaan,
yeh bhi kuch andaaz hain meri chaahat ke.

thoda dard, thodi hairaani, thodi tanhaai aur meri kahaani,
yeh bhi kuchh pehlu hain meri muskurahat ke.

kaun in kitaabon ko padh ker kaabil ho jaayega,
kaun apni manzil per jaa ker manzil ho jaayega.

halaat ki lehron se dat ker lardna hi hai zindagi,
kaun in lehron se lard kar saahil ho jaayega.

thoda sa jhuth, thoda aadarsh, thoda aasmaan, thoda farsh,
yeh bhi kuch pehlu hain insaan ki banaawat ke.
thoda dard, thodi hairaani, thodi tanhaai aur meri kahaani,
yeh bhi kuch pehlu hain meri muskurahat ke.

itne nazaaron mein bhi yeh nazar tannha,
insaan ho gaya hai iss kadar tannha,

mitti ke chehre bas aks hi hain yaaron,
tay kerna hai sabko yeh safar tannha.

thodi jannat, thode apne, thodi si maang, thode sapne,
yeh bhi kuch pehlu hain khuda ki ibaadat ke.
thoda dard, thodi hairaani, thodi tanhaai aur meri kahaani,
yeh bhi kuch pehlu hain meri muskurahat ke.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts