zaroori yeh nahi ki pyar mein tum taj banaao

zaroori yeh nahi ki pyar mein tum taj banaao,
zaroori yeh hai ki bas pyar mein tum aap mit jaao,

gila karte ho kyun tum tez chalti inn hawaon se,
maza to hai tabhi, jab in-mein tum deepak jala paao,

hai nazuk perd jal jayega, jo dali dhoop nafrat ki,
isse do pyar ki chaya, hara gar dekhna chaaho,

yeh ego ka nahi masla, hai chahat bas yahi dil ki,
tumhein aawaz jab bhi doon, tabhi tum daudti aao,

jo lardte zar, zamin, zoru ki khatir, unse kehta hoon
ki jaao kho gaya jo bachpana, phir dhoond kar laao,

yeh udaasion mein rehna, nahi theek dekho raaj,
ab utho, do sar ko jhatka, chalo phir se khil-khilaao.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts