hue humko bichude barson

pehle woh ghar jalayein,
phir barish yeh bulayein,
hum ko gale laga ke
kehte hain bhool jayein.

mausam ke yeh ishare
samjho kabhi to pyare,
ab tord sab niyam hum
bas jhoomein nachain gayein.

khaiton mein phooli sarson,
hue humko bichude barson,
tanhaiyon ki mil kar
aao holi hum jalayein.

hai unka yeh bahana,
kehta hai kya zamana?
phir bhi jo darr lage to
sapno mein hi aa jaao.

kyun geet ga rahe ho,
humko yun bula rahe ho,
chahat ka hai takaza
khud aap daude aao.

apni yahi hai zannat,
hum mante hain mannat,
zulphon mein teri jaanam,
bas ungliyan phiraun.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts