viraan ho chuki basti ko phir se basaana aasaan nahi

toote taaro ke saath zindagi ka saaz bajaana aasaan nahi,
viraan ho chuki basti ko phir se basaana aasaan nahi.

kinaaro par rahene waale samandar ke toofan ko kya jaane?
mazadhaar mein toofan se tooti kashti paar lagaana aasaan nahi.

tanhaai, maayusi, na-umeed mere rag rag mein sama gaye hai,
dosto ab hamaare hotho par phir se muskaan sajaana aasaan nahi.

aankho ki boond kaagaz par girati hi to sher ban jaati hai,
dost.. kuchh iss tarah se ashkon ko bahaana aasaan nahi.

aaj log kuch bolate hain to kehte hain ab bas bhi kegeye,
barason se sabki sunn raha tha, ab mujhe chup karaana aasaan nahi. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts