kis ki yeh kahaani kis ka woh fasaana,
mere yeh aanshun, hai mera taraana.
chubhenge armaan, woh toote huye,
rukh par unhein, holley se bahaana,
hum to lut kar bhi ameer hai yaaron,
mehlon mein tang-dil, gareeb zamana.
mujhe sambhalne ka junoon hai bada,
uth na paun kabhi aisa mujhe giraana.
jannat ki rah pe akhiri yeh zulmi aah..!
savaari ko meri phoolon se sajaana.
meri yaadein kahi zameen mein reh na jaye,
mujhe raakh kar, hawa mein urdaana.
har kisi ki kismet mein nahi sacha pyaar,
sochna samajhna phir isse aazmaana.
meri yeh kahaani, mera hi woh fasaana,
bikhre huye aanshun, hai mera taraana.
mere yeh aanshun, hai mera taraana.
chubhenge armaan, woh toote huye,
rukh par unhein, holley se bahaana,
hum to lut kar bhi ameer hai yaaron,
mehlon mein tang-dil, gareeb zamana.
mujhe sambhalne ka junoon hai bada,
uth na paun kabhi aisa mujhe giraana.
jannat ki rah pe akhiri yeh zulmi aah..!
savaari ko meri phoolon se sajaana.
meri yaadein kahi zameen mein reh na jaye,
mujhe raakh kar, hawa mein urdaana.
har kisi ki kismet mein nahi sacha pyaar,
sochna samajhna phir isse aazmaana.
meri yeh kahaani, mera hi woh fasaana,
bikhre huye aanshun, hai mera taraana.
No comments:
Post a Comment