waah re zindagi kya rang to kya roop tera

waah re zindagi kya rang to kya roop tera,
kadi dhoop se bhi battar raha hai mukkadar mera,

manzilen hamesha se hi door banayi humne,
aur beech mein hi khatam ho gaya hai safar mera,

khuda ki adalat mein tujhe pata chal jayega,
na jee saka hai na mar saka hai,
jis par bhi toota hai kahar tera,

gar dum hai to gira ke dikha de aanshu,
jo pilaya tha tune, yeh shayri wahi to hai zeher mera,

sab kehte hain pathar dil hai raaj,
kaise pighal jata hai phir,
teri hi har baat par jigar mera?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts