kuch tum bhi kaho apni zubani

chun-chun ke kahi humne ghazal apni zubani,
kuch tum bhi kaho apni ghazal apni zubani.

humko mili har mord pe, bhar-bhar ruswaai,
tum bhi kaho kya hai mila , yun kar ke bhalaai,

har zulm ab kehta hai khud, apni hi kahaani,
kuch tum bhi kaho apni ghazal apni zubani.

dewaana banaa baitha tha jab husn pe dera,
iss ashiqi ke shole ko ek aag ne ghera,

aag ki tappis mein ab murrjhati jawaani,
kuch tum bhi kaho apni ghazal apni zubani.

shatranj ke har khel mein, hum uzde khade the,
aur taash ke patto ki tarah bikhre parde the,

jab dekha har patte pe ek ghazal apni puraani,
kuch tum bhi kaho apni ghazal apni zubani.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts