aye chand tu roo raha hai,
tujhe kya ho gaya hai?
sitaro se bhare iss jaha mein
tera kya kho gaya hai?
iss rang-birangi duniya mein,
kya khamosh rehna tujhe bhata hai?
jab bhi dekhta hoon tujhe...
tu akela hi kyu nazar aata hai?
tu jaagta hai kyu..
jab sara jag soo jata hai,
kyu tanhaiyon ko tu apni,
mahfile banata hai?
har roz alag andaz mein tu
aise kyu nikalta hai,
itna vishal hai yeh aashma phir bhi,
tu ek hi raah pe kyu chalta hai?
badalo se ghira rahta hai tu har pal,
phir kyu teri pyaas hai baki,
sab kuch to hai tere pas,
phir kyu teri talaash hai baki?
apne bare mein ab tak humein,
tu ne kuch bhi to na batalaya hai,
kaun hai tu, kaha rahta hai,
kya aarzu hai teri,
kuch bhi to na jataya hai.
sunkar uski baat.. chand bola.
iss bhid bhari duniya mein
tumhara har jazbat mujhe sacha laga.
meri khamoshiyo ki awaz sunna chahte tum,
yeh jaan kar achha laga.
jiske dum se roshan hai yeh jahan,
ussi ka ek chhota sa hissa hoon.
kudrat ne jise apni badnasibi mein likkha tha,
main woh khushnasib kissa hoon.
samay ki be-dard chhoton se toda gaya sitara hoon,
niyati ki zimmedariyon se bandha hua,
phir bhi main aawara hoon.
zindagi ki raho mein jo kabhi,
har kadam pe mere saath chala karte the,
aaj unki parchhaiya hi meri manjile hain,
main kabhi mehfilo mein tanha hua kerta tha,
aaj tanhaiyan hi meri mehfile hain.
haa.. yeh sach hai ki husn ke badlon se,
ghira rahta hoon main har pal,
unki nadaniyon se mere mann mein bhi hoti hai halchal.
par kya ghum ko rota hua dekhkar,
kabhi khushi muskurayi hai?
jaao sagar se poochho..
kya uske khaare jal ne kabhi kisi,
pyase ki pyas bujhayi hai?
iss ajnabi si duniya mein
jo dilati thi mujhe apnatva ka ehsaas,
mere dard ki aandhiyon mein gum ho jane wali,
uss boond ki hai mujhe talash.
main akela nahi rahta hoon,
tumhari aankho mein rashmo-riwazo ki dhul hai.
jise tum log chand pe laga dhabba samjhte ho,
woh meri yaado ka muskurata hua phool hai.
ghum ke nahi yeh aanshu hai khushi ke,
jo door se hi nazar aate hain.
jab bhi kabhi unke astitva se roobaru hota hoon main
khud-ba-khud aankh chhalak jaate hain.
mujhe dhudhne mein kisi ko koi taklif na ho,
isiliye hamesha ek hi raah pe chalta hoon.
tum jaise musafir apni raahe na bhatak jaaye,
bas isiliye sari raat.. main chiragon ki tarah jalta hoon.