yeh raat kyon soti nahi,
in aankhon ko neend kyon aati nahi?
karwate badal rahi hai,
bechaini bardh rahi hai,
raat jawab dhoond rahi hai,
yeh raat abhi bhi jag rahi hai?
yeh raat kyon soti nahi?
khwabon kaa jo jahan hai,
lage kitna yeh suhana hai,
magar hakeeqat kyon hain aise,
yeh zindagi lag rahi hai ek paheli,
yeh raat kyon soti nahi?
chaand taaron ka mela hai,
phir bhi yeh dil akela hai,
dhardkano mein doori hai,
aakhir dil ki kya majboori hai?
yeh raat kyon soti nahi?
musafir tu thakk chala hai,
aankhon par chhaya andhera hai,
thoda sa tu aaram kar le,
tapti ruuh ko raat sheetal mein so lene de,
yeh raat kyon soti nahi?
safar abhi lamba hai,
jaane kitna chalna hai,
choti si yeh raat hai,
kal phir naya savera hai.
in aankhon ko neend kyon aati nahi?
kaise yeh sawal hain,
jis mein ulljhe yaar hum hain,
jawab inke jaane kahan gum hain?
yeh raat kyon soti nahi?
jis mein ulljhe yaar hum hain,
jawab inke jaane kahan gum hain?
yeh raat kyon soti nahi?
karwate badal rahi hai,
bechaini bardh rahi hai,
raat jawab dhoond rahi hai,
yeh raat abhi bhi jag rahi hai?
yeh raat kyon soti nahi?
khwabon kaa jo jahan hai,
lage kitna yeh suhana hai,
magar hakeeqat kyon hain aise,
yeh zindagi lag rahi hai ek paheli,
yeh raat kyon soti nahi?
chaand taaron ka mela hai,
phir bhi yeh dil akela hai,
dhardkano mein doori hai,
aakhir dil ki kya majboori hai?
yeh raat kyon soti nahi?
musafir tu thakk chala hai,
aankhon par chhaya andhera hai,
thoda sa tu aaram kar le,
tapti ruuh ko raat sheetal mein so lene de,
yeh raat kyon soti nahi?
safar abhi lamba hai,
jaane kitna chalna hai,
choti si yeh raat hai,
kal phir naya savera hai.
No comments:
Post a Comment