us raat main so naa paaya

us raat tum to so gayi par main naa so paaya,
tumhein raat bhar sote huye dekhta raha,

dekhta raha ke tum neend mein,
kitni baar muskuraati ho,

dekhta raha ke paseene ki,
jhun-jhulaahat mein kitna chatt-pataati ho,

aahista-aahista leta tha saansein,
khalal na pad jaaye tumhaare khwaabon mein,

kyonki jaanta hoon ki halki awaaj se bhi,
tum aksar jaag jaati ho.

us raat main so naa paaya,
pehron tumhein dekhte jo rehna tha, 

yeh mauka main kho naa paaya,
kayi baar chaaha ke tumhein chhu kar dekhoon, 

kayi baar haath badhaaya,
par tumhein chhu naa paya,

tumhaare uthte-girte se badan par
main tumhaari saansein ginta raha,

tumnein to anjaane mein hi sahi,
haath rakh diya mere seene par,

lekin main chaahkar bhi,
tumhaari dhadkane naa sunn paaya.

raat bhar tumhaari saansien
mere jism se takraati rahi, 

raat bhar tumhaari yeh nazdikiyaan lekin..
ek doori ka ehsaas karwaati rahi,

kitni hi baar tumhaara woh dupat-ta bhi,
tumhaare badan se sarak jaata tha,

khidki se jhaankta woh chaand bhi shaayad, 
meri haalat pe taras khaata tha,

main kabhi moond leta palkein,
aur kabhi woh baadlon mein chhup jaata tha,

aaj jab bhi main un palo ko yaad karta hoon,
tumhein kuch simta aur sakuchaya sa paata hoon,

kyon bhool jaati ho ke tum mere nahi huye to kya..
main tumhara... tumhara... 
sirf tumhara raha..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts