to hum isko bhi muskura kar liye jaayeinge,
kuch din to guzar gaye tumhaari aarjoo ke chalte,
aur kuch tumhaare intezaar mein guzar jaayeinge.
kaun kehta hai ke sangdil ho gaye ho tum?
kaun kehta hai ke tangdil ho gaye ho tum?
hum to jab bhi tumhaare dar pe pahunche,
aksar woh bhi paaya jiski ummeed naa thi ke paayeinge.
mukkaddar jaane kaun kehta hain,
ke woh khuda likhta hai,
meri kismat to har baar tum hi likhte rahe,
jab bhi socha ke naseeb shaayad ab ke badal jaayeinge.
kuch lamhein tumhaare ab tak mere paas rakhe hain,
main ussi mord pe thehraa hoon,
iss ummeed se ke shaayad..
woh waqt palat ke aaye yah naa aaye,
tumhaare kadam tumhein waapas le hi aayeinge,
bas ek adna sa intezaar hai ab to,
saans lene aur jeene ke darmiyaan,
dekhein ab baaki ki zindagi..
hum saans lekar yah jeekar bitaayeinge?
woh waqt palat ke aaye yah naa aaye,
tumhaare kadam tumhein waapas le hi aayeinge,
bas ek adna sa intezaar hai ab to,
saans lene aur jeene ke darmiyaan,
dekhein ab baaki ki zindagi..
hum saans lekar yah jeekar bitaayeinge?
No comments:
Post a Comment