hamne khud ko unka dushman hi bana diya

unke apnon ki bheed badi door tak faily thi, 
apne nishaan bhi door-door tak nazar aate na the, 

badi koshishein ki humne apne yeh haath hilaane ki, 
badi koshishein ki humne unhein cheekh cheekh kar sunane ki,

par dooriyaan aur shor itna tha ke,

woh hamein sunn bhi na paate the,

unkein paas jaane ke iraadon ne, 

unhein dil ki baat sunaane ke iraadon ne, 
hamein iss raah par pahuncha diya. 

unke dushmanon mein koi nazar na aata tha, 

so hamne khud ko unka dushman hi bana diya,

kam se kam iss bahaane hi sahi, 

woh hamein dekh to paayeinge…

chaahkar bhi to kuch haasil na tha, 

shaayad iss rishte ke chalte hi woh,
kuch kareeb aa jaayeinge.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts