main intezaar hoon intezaar hi rehne dena,
mere iss pyaar ko, bas pyaar hi rehne dena.
zindagi do pal ki, jiye bin bhi guzar jaayegi,
dil-e-bekaraar ko bekaraar hi rehne dena.
pyaas saaki ki, kisi jaam se bhujti bhi nahi,
apne honthon ka bas khummaar hi rehne dena.
iss mohabbat mein, tere naam likhe kitne naghmein,
dastaan-e-dil ko tum aashar hi rehne dena.
kisi botal se kaha, aankhon sa nashaa hota hai,
iss masti ko sanam barkaraar hi rehne dena.
katra-katra aaj bhi marrte hain teri chahat mein,
apni ulfat ki tum bauchhaar yuhi rehne dena.
yun to rishta bhi ab nahi raha apna tumnse,
iss talabgaar ko par tum dildaar hi rehne dena.

yun to zakhmi dil apna bhi rota hai magar,
iss aitebaar ko aitebaar hi rehne dena.
iss aitebaar ko aitebaar hi rehne dena.
iss mohabbat mein, tere naam likhe kitne naghmein,
dastaan-e-dil ko tum aashar hi rehne dena.
kisi botal se kaha, aankhon sa nashaa hota hai,
iss masti ko sanam barkaraar hi rehne dena.
katra-katra aaj bhi marrte hain teri chahat mein,
apni ulfat ki tum bauchhaar yuhi rehne dena.
yun to rishta bhi ab nahi raha apna tumnse,
iss talabgaar ko par tum dildaar hi rehne dena.
No comments:
Post a Comment