ek umr udne ke baad ummeed ne dum tord diya

woh parinda apni choti si umr se, 
achhi udan bhar leta tha, 

nadi-pahad to choti baat thi, 
woh saagar tak paar kar leta tha, 

aksar apni chhamtaon ko dekhkar, 

woh foola nahi samata tha, 

aatmvishwas abhimaan ban-ne laga tha uska, 

ab woh zameen par panw na rakh paata tha, 

yun to aksar nazar aata tha woh, 

ek roz chaand usse bha gaya, 

chahat sirf nigaahon tak naa rahi, 
uska dil chaand par aa gaya, 

apni naadaan chaahat ke chalte, 

woh apne paroon par, 
kuch jada hi vishwas karne laga.

chaand ki doori se anjaan, 

woh apni udaan bharne laga,

ek umr udne ke baad uski, 
ummeed ne dum tord diya,

iraade to majboot the uske, 

par uske paroon ne saath chord diya,

apni iss naakaami ke chalte, 

usne paroon ko fad-fadana chord diya,

girne laga waapas zameen par, 

aur jeene ka khayal chord diya,

shayad uske naseeb mein, 

dard aur bhi paana tha,

mar naa saka iske baad bhi, 

woh  jaan gaya tha ab usse, 
dobaara naa urd paana tha.

aaj bhi takta hai chaand ko, 

woh ussi se nazrein bachakar,

phir moond leta hain palkon ko, 

shaayad apne aap pe sharmakar.

har raat ke baad ujli subeh ho 

yeh jaroori to nahi,

ghtaaein bhi chha sakti hai, 

ho sakta hai kuch haasil ho tere inetzaar se 
par zindaagi ka koi waada bhi nahi aye dost, 
mout kisi waqt bhi aa sakti hai...! 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts