maine har waqt se guzarna seekha hai

main hi to hoon jo ruk nahi sakta, 
maine samander se behna seekha hai, 
main kabhi be-ghar nahi ho sakta, 
maine dilon mein rehna seekha hai. 

main hi to hoon jo bujh nahi sakta, 

maine suraj se jalna seekha hai, 
mujhe koi shaks samajh nahi sakta, 
maine mausam se badalna seekha hai, 

akser haar kar jeet jaane ke liye, 

maine phoolon se simatna seekha hai, 
hai andheron mein roshan hone ke liye, 
taaron se chamakna seekha hai. 

main kabhi kahin bhi kaid nahi, 

maine khushbu se bikharna seekha hai, 
main kabhi kahin thahraa nahi, 
maine waqt se guzarna seekha hai.

sab hanste hain khushi mein magar, 

maine ghumon mein hansna seekha hai, 
maine raat se khaamoshi seekhi hai, 
baarish se barasna seekha hai. 

maine shaan se jeena seekha hai, 

maine shaan se marrna seekha hai, 
main ishq hi hoon bas ishq hi hoon, 
maine ruh mein utarna seekha hai. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts