ek sundar sapna tha mera,
ek jeevan apna tha mera.
ab aankh mein aashu baste hain,
na jeevan hai na sapna hai.
jinko apna kehte kehte,
thakna bhi bhool chuke the hum,
jinki raahein takte takte,
sona bhi bhool chuke the hum.
woh ab aaye hain aankho mein,
par aaye hain aashu bankar,
rag mein mere yeh apne hain,
jo bahte the khushbu bankar,
dekha krta tha ghanto main,
ek sundar darpan tha mera.
ab jeevan soona soona hai,
na khushbu hai na darpan hai.
ek jeevan apna tha mera.
ab aankh mein aashu baste hain,
na jeevan hai na sapna hai.
jinko apna kehte kehte,
thakna bhi bhool chuke the hum,
jinki raahein takte takte,
sona bhi bhool chuke the hum.
woh ab aaye hain aankho mein,
par aaye hain aashu bankar,
rag mein mere yeh apne hain,
jo bahte the khushbu bankar,
dekha krta tha ghanto main,
ek sundar darpan tha mera.
ab jeevan soona soona hai,
na khushbu hai na darpan hai.
No comments:
Post a Comment