tum khafa kyon ho jaate ho

main apni hi zameen ko dhoondta hoon,
to tum khafa kyon ho jaate ho? 

main apne aasmaan par ghoomta 
hoon,
to tum khafa kyon ho jaate ho? 

mujhe mohabbat si ho gayi hai in baadlon se,
yeh tim-timaata aasmaan mujhe nahi bhaata,

jab main in baadlon mein kho jaata 
hoon,
to tum khafa kyon ho jaate ho?

main aksar lambi udaanon mein rehta 
hoon,
main aksar in hawaaon ke saath behta 
hoon, 

main jara pankh jo failaa loon apne,
to tum khafa kyon ho jaate ho?

mera yeh rookha sa aasmaan tumko to bhata hi nahi, 
aur tumhaari iss zameen par main, aashiyaan paata nahi,

tumhaare hi in daayron mein jab naa urd paaun main,
to tum khafa kyon ho jaate ho?

mere in nazuk paron ko naa pakkdo tum,
mujhe sirf apni hi hawaaon mein naa jakkdo tum,

meri gairat, jo chatpataati hai ispar,
to tum bura kyon maan jaate ho?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts