ek toofan ko humne rok to liya hai apne andar,
tham to gaya hai par uska aankhon se barasna abhi baaki hai.
khud ko bhula chuka hoon teri yaad mein,
ek aas hai ki mera tujhe yaad aana abhi baaki hai.
yun to bichhde humein zamane hue,
par shayad tere paas mera koi samaan abhi baaki hai.
saikdon raatein tere yaad mein jaag ke bitayein hain,
meri jaagti aankhon ke khwaabon ka tootna abhi baaki hai.
kya baat hai tujh mein jo mere zehen se tum jaate nahi,
us ishq mein tere likhe khaton ko jalana abhi baaki hai.
tere intezaar mein sadiyan beeti hain,
maut bhi na aayegi kyunki tera aana abhi baaki hai.

No comments:
Post a Comment