jarre-jarre mein basta hai woh, uski yehi pehchaan hai,
iss duniya mein sabse uncha, sirf mahadev ka naam hai.
din mein suraj, raaton mein jo chaand bankar hai chamkta,
jo hai hawaaob mein charo dishao mein, jo chalata garidh-e-aam hai,

uski ibbadat mein hai kasish anokhi, jo aaya uska ho gaya,
jo rakhta hai humein apne dil mein,
uske kadamon mein hamara makaam hai,

apne bando par reham hai karta, har mushkil hamari door woh karta,
har marz uske naam se door ho, woh iss shristi ka sanchalak hai,

sirf woh hi iss duniya mein, tera usse rakh,
har khushi tujhe bakhshega woh hi, aman aur khushhali jiska paigaam hai,

No comments:
Post a Comment