bhale jhooti yeh aas sahi

haathon se juda hokar woh, 
aankho se wida nahi hote hain, 

honton pe sada rahte to hain, 
par honton se bayan nahi hote hain. 

kis baat ko lekar baat karun, 
har baat mein wohi rahte hain, 

bhale karu na main zikr unka, 
par fiker mein woh hi rahte hain, 

kyun ponchu main inn aanshuo ko, 
har boond mein woh rahte hain, 

inhi bahano ke jariye, 
woh saath mera dete hain, 

bhale jhooti yeh aas sahi, 
par sach hai ki hum sahte hain, 

sab log hain kahne ko apne, 
phir bhi tannha hum lagte hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts