iss duniya mein sabse uncha, sirf mahadev ka naam hai

jarre-jarre mein basta hai woh, uski yehi pehchaan hai, 
iss duniya mein sabse uncha, sirf mahadev ka naam hai.

din mein suraj, raaton mein jo chaand bankar hai chamkta, 

jo hai hawaaob mein charo dishao mein, jo chalata garidh-e-aam hai,
iss duniya mein sabse uncha, sirf mahadev ka naam hai. 

uski ibbadat mein hai kasish anokhi, jo aaya uska ho gaya, 
jo rakhta hai humein apne dil mein,
uske kadamon mein hamara makaam hai, 
iss duniya mein sabse uncha, sirf mahadev ka naam hai.

apne bando par reham hai karta, har mushkil hamari door woh karta, 

har marz uske naam se door ho, woh iss shristi ka sanchalak hai, 
iss duniya mein sabse uncha, sirf mahadev ka naam hai.

sirf woh hi iss duniya mein, tera usse rakh, 
har khushi tujhe bakhshega woh hi, aman aur khushhali jiska paigaam hai,
iss duniya mein sabse uncha, sirf mahadev ka naam hai.

jarre-jarre mein basta hai woh, uski yehi pehchaan hai, 
iss duniya mein sabse uncha, sirf mahadev ka naam hai.

jab yaad karte hain kisi ko

jab yaad karte hain kisi ko, 
woh waqt suhana hota hai, 

uth jati hai kalam likhne ko, 

woh pyar deewana hota hai, 

kar deti hai haal-e-dil bayaan, 

woh kalaam shayraana hota hai, 

jab yaad karte hai kisi ko, 

woh waqt suhana hota hai.

haven’t you ever wondered

have you ever wondered what love feels like? 
the feeling for passion, 
the feeling for pleasure. 

have you ever wondered what having a man feels like? 
the feeling of her arms, 
the feeling of her lips brushing against yours. 

have you ever wondered what sadness feels like? 
the feeling of depression, 
the feeling of lostness.

have you ever wondered how being different felt like? 

the feeling of loneliness, 
the feeling of uniqueness.

have you ever wondered what life feels like? 

the feeling of unfairness, 
the feeling of guiltness.

have you ever wondered what you feel like? 

the feeling of mirrors all around, 
the feeling of your heart.

haven’t you ever wondered...?

koi haar kar jeet jata hai, kisi ki jeet kar bhi haar hoti hai

kahin kisi par har taraf se gulon ki bauchhaar hoti hai, 
kahin kisi ki zindagi ke har pehalu mein haar hoti hai.

ajab riwaz hai teri duniya ka aye ashman waale, 
koi haar kar jeet jata hai, kisi ki jeet kar bhi haar hoti hai. 

har ek insaan apne sath liye phirta hai koi-na-koi zakham, 
koi marrta hai talwar se, kahin nigah dil ke paar hoti hai. 

har kisi ko raas nahi aate mausam baharan ke, 
aise bhi phool hain jo murjate hain jab bahar hoti hai.

it’s give and take! we are midst a race

this world is an exchanging place, 
it’s give and take! we are midst a race. 

the pity sun gives light, hues and heat, 
that warms our souls and hearts, 
in turn, we turn to dust, 
pure dust of micro-microns, 
spread athwart, 

and move upwards, move up and up, 

in quest of reaching our own base, 
it’s give and take we are midst a race. 

on the way, we are captured, enshrouded, 

by condensing moistures in sky, 
and clouds are formed ‘round us, shortly, 
we are thrust earthward, midst thunderous cry!! 

and drop with rain droplets on earth, 

if saved from traps, we are back to space, 
its give and take, we are midst a race.

there various forces drag us on, 

and zigzag paths take quite long time!

such time that ages pass quietly, 

that we are speeding fast, past-prime!! 

you are there if we can reach, that’s true! 

but after all, how shall we face? 
it’s give and take! we are midst a race.

ek toofan ko humne rok to liya hai apne andar

ek toofan ko humne rok to liya hai apne andar,
tham to gaya hai par uska aankhon se barasna abhi baaki hai. 

khud ko bhula chuka hoon teri yaad mein, 

ek aas hai ki mera tujhe yaad aana abhi baaki hai.

yun to bichhde humein zamane hue, 

par shayad tere paas mera koi samaan abhi baaki hai.

saikdon raatein tere yaad mein jaag ke bitayein hain, 

meri jaagti aankhon ke khwaabon ka tootna abhi baaki hai.

kya baat hai tujh mein jo mere zehen se tum jaate nahi, 

us ishq mein tere likhe khaton ko jalana abhi baaki hai. 

tere intezaar mein sadiyan beeti hain, 

maut bhi na aayegi kyunki tera aana abhi baaki hai.

it's not just for me.. it's for us

it's not just for me,  it's for us 
let's live, we can't escape this rush? 

I mean yes, this wild rush, 
we can't avoid the life as such. 

it's tough as much, it's blessed as much, 
it's worth living, it's worth winning, 

and once one has companionship, 
of your mind-set one must worship, 

I want to live to the best of me, 

matters not one is he or she? 

let all these blooms belong us all, 
face life as such, blush or non-blush, 

let's live.. we can't escape this rush, 
let be it a rise, let be it a fall. 

you came in arms, moistened the palms, 
pulse grew bouncing, declining calms, 

oh love it's love all, pounding love 
and it's pure pang, who's hawk? 

who's dove? these lovely skies, these lovely stars 

are fruits of love or endless wars? 

come, hold my hand, it's tough and rough, 

don't go that far? it's all enough. 

don't kiss me if it comforts not, 
but touch me for, my veins are hot. 

please touch me, might I fail to live, 
if you can't take, why did you then give? 
it's not for me but for us both.

aaj ke daur mein umeedein wafa kisase karein

aaj ke daur mein 
umeedein wafa kisase karein? 

dhoop mein baitha hai 
khud pedh lagaane wala.

main intezaar hoon intezaar hi rehne dena

main intezaar hoon intezaar hi rehne dena, 
mere iss pyaar ko, bas pyaar hi rehne dena. 

zindagi do pal ki, jiye bin bhi guzar jaayegi, 

dil-e-bekaraar ko bekaraar hi rehne dena. 

pyaas saaki ki, kisi jaam se bhujti bhi nahi, 

apne honthon ka bas khummaar hi rehne dena. 

yun to zakhmi dil apna bhi rota hai magar, 
iss aitebaar ko aitebaar hi rehne dena. 

iss mohabbat mein, tere naam likhe kitne naghmein, 

dastaan-e-dil ko tum aashar hi rehne dena. 

kisi botal se kaha, aankhon sa nashaa hota hai, 

iss masti ko sanam barkaraar hi rehne dena. 

katra-katra aaj bhi marrte hain teri chahat mein, 

apni ulfat ki tum bauchhaar yuhi rehne dena. 

yun to rishta bhi ab nahi raha apna tumnse, 

iss talabgaar ko par tum dildaar hi rehne dena.

kisi par vishwaas karne se darr lagta hai

duniya mein mera dil nahi lagta, har koi paraya lagta hai, 
darr aur koi nahi mujhe par kisi ko apnane se darr lagta hai. 

duniya mein shaamil hokar bhi jaane kyu hoon duniya se door, 
ab to mujhe jaane kyu apne aap se bhi darr lagta hai. 

kaun deta hai yahan saath kisi ko barso ki doori tak, 
tannha sa rehta hoon ab main, bas bherd se darr lagta hai. 

har koi ek jaisa, jaise kisi ka koi imaan nahi, 

hai har shaks beyimaan, iss baat se darr lagta hai. 

himaat bhi itni nahi ab ki aur dhokhe bardaash kar le hum, 
pehle kehte the kaash sapne pure ho, 
ab to kaash kehne se bhi darr lagta hai. 

roo bhi nahi sakte duniya ke saamne, 
aur muskaan bhi raas aati nahi, 
chupaye kya muh apna tanhayo mein, 
mujhe ab har saath se darr lagta hai.

khud se hi ghabraata hoon, aur bechain bhi hua karta hoon,
aree dukhi hi rehne do yaaron, ab to chaain se bhi darr lagta hai.

dekhne wale bhi dete hain marne ki hi dua doston,
maut bhi apna le to shikwa na kare, 
mujhe to jeene se darr lagta hai.

khwaab kamiyaabi ko chhune ke, kabhi mere bhi hua karte the,
ab arzu rahi hi nahi, ab to tarrakki se bhi darr lagta hai.

dushman koi hai nahi aur dost bhi ab banata nahi,
kya nibhayun rashmein-riwajein, ab to inn juthi rashmon se darr lagta hai.

kisi ka na hai bharosa iss dil ko, kisi se na hi aas,
hua kuch aisa mere saath, 
kisi par vishwaas karne se darr lagta hai.

doston ke saath woh mastiyan phir kahan

doston ke saath wo mastiyan, badmashiyan, 
phir kahan, phir kahan... 

history ka wo class bunk karna, 

chemistry ke period mein sona, 
phir kahan, phir kahan...

teacher ke question puchne par 
chup-chup khade hona, 
teacher ke absent hone par jada khush hona, 
phir kahan, phir kahan... 

jee le iss pal ko jee bhar ke, 
yeh sab phir kahan, phir kahan... 

lekin phir bhi tum aajana

ek aas ke sahare jee raha hoon, 
jaise sadiyon se rasta tak raha hoon, 
yeh khamosh raahein khushgavar to nahi, 
lekin phir bhi tum aajana.

woh rokenge, aane nahi denge, 

baat baat pe fikre kasenge, 
jaanta hoon mushilen kam to nahi, 
lekin phir bhi tum aajana. 

main hansta hoon ho tum hansi ho meri, 

jaanti nahi ho ke jaan ho meri, 
in dhadkanon ki awaaz na sunn paogi, 
lekin phir bhi tum aajana. 

tere bin to jaise har shaye mein udaasi hai, 

aaja ke saansein ab chand hi baaki hai, 
tere aane ki khushi mein mar na jaun kahin, 
lekin phir bhi tum aajana. 

sweetheart I am thinking of you

sweetheart...
I am thinking of you.


how your life is, 

are you happy? 
hope you doing fine. 

I can’t sleep, 

I cry all night long, 
I miss you so,

I wish I could hold you 

in my arms one more time.

I tried to find a way 

to get you by my side, 
spending my whole life 
waiting for you 
to loosing memories 
that once was true.

I keep wondering why 

I fell in love with you,

when you need me 

I will be there for you, 
you know you might be lonely 
I will be here waiting for you, 
if you ever need me 
I will be there.

I think a while and think it over 

things get tough for me here, 
but I will still be waiting for you.

I wish we could walk, 

I wish we could talk, 
I will cry a million tears for you. 
just for you...

humein na pukaariye khuda se baat ho rahi hai

aaj daaman se ashkon ki mulakaat ho rahi hai, 
mera din roo raha hai meri raat roo rahi hai,

yeh zameen roo rahi hai mere kadmon se lipat kar, 

mere gale lag ke taaron ki baraat roo rahi hai,

aanshu pochhe haathon ki lakeeren mit gayi, 

aaj kaisi yeh anhoni mere saath ho rahi hai,

pardh raha hoon messages unki tasveer dekh kar, 

humein na pukaariye khuda se baat ho rahi hai,

kahin muskura rahi hai mehndi haathon mein, 

kahin maut ki baahon mein halaat ro rahi hai

I can't stop loving you

please believe me,
don't ever leave me.
I don't lie,
please don't deny.
I can't live widout you.
I juz can't stop loving you.

you want me too,
so I am leaving you.
but my wordz are true,
I am just sorry too say that,
I can't stop loving you.

I don't know, where to go,
don't know, what to do.
I am just sorry to say that,
I can't stop loving you.

let me say today,
something you never knew,
that I love you.
I am just sorry to say that,
I can't stop loving you. 

I want to kiss you all night,
want to love you tonight,
I don't know why?
like hell, I am missing you,
I just can't stop loving you.
and baby its just true.

really,
I can't do, without you.
and I just can't stop loving you.

Happy Birthday Munni

someone as special as you, 
who always thinks of others, 

who’s true to her heart, 

and dedicated to her family, 
deserves a wonderful birthday, 

I hope your birthday is 
as best as ever memorable time,
that you will always look back on fondly.

may the day bring you as
much beauty as a garden full
of pink roses in bloom
and inspire hope for tomorrow.

trishna

jeewan mein sukh paane ki to sabko hain trishna, 
kaam ki trishna, daam ki trishna, naam ki hain trishna.

anokhi pyaas hai yeh trishna, manno ki aas hai yeh trishna, 
madhur vishwas hain yeh trishna, bandhi hai saans mein yeh trishna.

kaali-kali raat ko prabhat ki hai trishna, 

aaye jo prabhat usko saanjh ki hai trishna, 
saanjh ki laali ko phir kaali raat ki hai trishna.

mrig jaise dhoondhe jeevan bhar kya hai yeh trishna, 

anokhi pyaas hai yeh trishna, manno ki aas hai yeh trishna.
madhur vishwas hain yeh trishna, bandhi hai saans mein yeh trishna.

bhawaro mein phoolo ki trishna se pagalpan chhaya, 
laakh bujhayi pyaas magar na chain kabhi hai paaya, 
bhawar ke jaise ghoome phir bhi meete naa yeh trishna, 
saara jag bhoola hai, kis ki talaas mein hai yeh trishna?

anokhi pyaas hai yeh trishna, manno ki aas hai yeh trishna.
madhur vishwas hain yeh trishna, bandhi hai saans mein yeh trishna.

mere pankh aakash ki taraf ude jaa rahe hain

band muthi ke juganu phir se chulbula rahe hain, 
mere pankh aakash ki taraf udde jaa rahe hain,

khwaabo ki duniya ajeeb basati hain aankhon mein,  

woh duniya haqikat mein bhi sama bana rahe hain,

yun to kayi baar aise pal aaye hain iss zindagi mein, 

par yeh pal ajeeb khushi sang laa rahe hain,

kashmash to dil mein hazaro hote hi hain, 

kuch kashamash kinaare chalate aa rahe hain.

daaman mein mere sambhaale naa sambhale, 

aisi khushi par pag badhate jaa rahe hain,

jhooma rahe julfein, jhoomata huwa pawan, 

maano meri khushi mein yeh lay bitha rahe hain.

phoolo ki mahak ho ya chidiyon ki chahak, 

dono hi sang mere meri khushi mana rahe hain.

dekho naa badal bhi mere sang khush ho kar, 

sang mere khushi ke aalap duhara rahe hain.

akela na pad jaaoon kahi iss khushi ke waqt, 

bunde mere sang kadam mila rahe hain.

andhera na ho mere raaste mein kahi, 

bijaliyan umad kar raasta dikha rahe hain.

kya kahe hum khushi khudki jubaani, 

har pehalu jo mere sang taal mila rahe hain.

maine har waqt se guzarna seekha hai

main hi to hoon jo ruk nahi sakta, 
maine samander se behna seekha hai, 
main kabhi be-ghar nahi ho sakta, 
maine dilon mein rehna seekha hai. 

main hi to hoon jo bujh nahi sakta, 

maine suraj se jalna seekha hai, 
mujhe koi shaks samajh nahi sakta, 
maine mausam se badalna seekha hai, 

akser haar kar jeet jaane ke liye, 

maine phoolon se simatna seekha hai, 
hai andheron mein roshan hone ke liye, 
taaron se chamakna seekha hai. 

main kabhi kahin bhi kaid nahi, 

maine khushbu se bikharna seekha hai, 
main kabhi kahin thahraa nahi, 
maine waqt se guzarna seekha hai.

sab hanste hain khushi mein magar, 

maine ghumon mein hansna seekha hai, 
maine raat se khaamoshi seekhi hai, 
baarish se barasna seekha hai. 

maine shaan se jeena seekha hai, 

maine shaan se marrna seekha hai, 
main ishq hi hoon bas ishq hi hoon, 
maine ruh mein utarna seekha hai. 

yeh raat kyon soti nahi

yeh raat kyon soti nahi, 
in aankhon ko neend kyon aati nahi?

kaise yeh sawal hain, 
jis mein ulljhe yaar hum hain, 
jawab inke jaane kahan gum hain? 

yeh raat kyon soti nahi?

karwate badal rahi hai, 

bechaini bardh rahi hai, 
raat jawab dhoond rahi hai, 
yeh raat abhi bhi jag rahi hai? 

yeh raat kyon soti nahi?

khwabon kaa jo jahan hai, 

lage kitna yeh suhana hai, 
magar hakeeqat kyon hain aise, 
yeh zindagi lag rahi hai ek paheli, 

yeh raat kyon soti nahi?

chaand taaron ka mela hai, 

phir bhi yeh dil akela hai, 
dhardkano mein doori hai,
aakhir dil ki kya majboori hai? 


yeh raat kyon soti nahi?

musafir tu thakk chala hai, 

aankhon par chhaya andhera hai, 
thoda sa tu aaram kar le, 
tapti ruuh ko raat sheetal mein so lene de,

yeh raat kyon soti nahi?


safar abhi lamba hai,
jaane kitna chalna hai,
choti si yeh raat hai,
kal phir naya savera hai.

ek sundar sapna tha mera

ek sundar sapna tha mera,
ek jeevan apna tha mera.

ab aankh mein aashu baste hain,
na jeevan hai na sapna hai.

jinko apna kehte kehte,
thakna bhi bhool chuke the hum,

jinki raahein takte takte,
sona bhi bhool chuke the hum.

woh ab aaye hain aankho mein,
par aaye hain aashu bankar,

rag mein mere yeh apne hain,
jo bahte the khushbu bankar,

dekha krta tha ghanto main,
ek sundar darpan tha mera.

ab jeevan soona soona hai,
na khushbu hai na darpan hai.

tu to nahi.. yaad teri hum se milne aayi hai

matt poocho aalam hamare dil ki be-basi ka, 
kayamat ki taraan hai aas-paas, 
dil mein magar tanhaai hai.

yoon dil ke aangan mein teri yaadoon ki aahat huyi, 
jaise dhoor kisi vaadi mein, bajti ho koi shehnaai hai. 

khaa kar fareb khud apni hi taqdeer ke haathoon, 
ilzaam dein kis ko hum, kismat hi harjaai hai. 

tere intezaar mein rehna, bann gayi hai meri aadaat, 
khushi to nahi kismat mein magar, ghum se aashiyana hai. 

yeh bhi nahi kam khayaaloon mein agar tujh ko choo loon, 
tu to nahi.. yaad teri hum se milne aayi hai.

koi mujhe chahe.. apne dil mein basaye

koi mujhe chahe aur apne dil mein basaye, 
mujhe sapno ki duniya mein sair karaye, 

uska ek paigam mere naam aaye, 

aur woh sirf mera hai yeh keh jaaye.

na koi unse kabhi shikwa ya shikayat karenge, 

na kisi baat pe unhein majboor karenge,

dil ke aaine mein unhein saja ke rakhenge, 

apni har khushi unke naam mein karenge,

unke hontho pe muskan banke main khilunga, 

unke dil mein dhardkan banke main rahunga, 
bas koi mujhe chahe aur apne dil mein basaye.

hum dil ko samjhate-samjhate thak gaye

kabhi unse yeh na poocha aap kyun chale gaye?
kyun mohabbat ki aag mein humein jalake yun chale gaye?

chal pade the dono saath-saath mohabbat ki raah pe,
phir kyun humein tannha chord, raasta maud ke chale gaye?

dil mein unki mohabbat liye, hum khade reh gaye,
woh humein tohfe mein intezaar deke chale gaye,

laut aayenge ek din.. hum dil ko samjhate-samjhate thak gaye,
kya pata tha woh kisi aur ke liye humein chord kar chale gaye.

pata hi na chala

woh apne the, kab paraya ho gaye, pata hi na chala.
dekhe the milke jo sapne, kab choor ho gaye, pata hi na chala.

haath tham ke sahara dene wale, kab mooh pher liye, pata hi na chala.
apna banake.. kab dil se utaar bhi diya, pata hi na chala.

jeene ki koi chah na rahi, dil dard se tadap raha tha,
kab khwaab toota, kahan kaun kho gaya, pata hi na chala.

yaadon mein kho ke pal, kab sadiyan ban gaye, pata hi na chala.
aankhon se pyar ke badle, kab aanshu barashne lage, pata hi na chala. 

hamne khud ko unka dushman hi bana diya

unke apnon ki bheed badi door tak faily thi, 
apne nishaan bhi door-door tak nazar aate na the, 

badi koshishein ki humne apne yeh haath hilaane ki, 
badi koshishein ki humne unhein cheekh cheekh kar sunane ki,

par dooriyaan aur shor itna tha ke,

woh hamein sunn bhi na paate the,

unkein paas jaane ke iraadon ne, 

unhein dil ki baat sunaane ke iraadon ne, 
hamein iss raah par pahuncha diya. 

unke dushmanon mein koi nazar na aata tha, 

so hamne khud ko unka dushman hi bana diya,

kam se kam iss bahaane hi sahi, 

woh hamein dekh to paayeinge…

chaahkar bhi to kuch haasil na tha, 

shaayad iss rishte ke chalte hi woh,
kuch kareeb aa jaayeinge.

tum khafa kyon ho jaate ho

main apni hi zameen ko dhoondta hoon,
to tum khafa kyon ho jaate ho? 

main apne aasmaan par ghoomta 
hoon,
to tum khafa kyon ho jaate ho? 

mujhe mohabbat si ho gayi hai in baadlon se,
yeh tim-timaata aasmaan mujhe nahi bhaata,

jab main in baadlon mein kho jaata 
hoon,
to tum khafa kyon ho jaate ho?

main aksar lambi udaanon mein rehta 
hoon,
main aksar in hawaaon ke saath behta 
hoon, 

main jara pankh jo failaa loon apne,
to tum khafa kyon ho jaate ho?

mera yeh rookha sa aasmaan tumko to bhata hi nahi, 
aur tumhaari iss zameen par main, aashiyaan paata nahi,

tumhaare hi in daayron mein jab naa urd paaun main,
to tum khafa kyon ho jaate ho?

mere in nazuk paron ko naa pakkdo tum,
mujhe sirf apni hi hawaaon mein naa jakkdo tum,

meri gairat, jo chatpataati hai ispar,
to tum bura kyon maan jaate ho?

shukriya aye dil..

shukriya aye dil.. gar yahi inaam hai mohobbat ka, 
to hum isko bhi muskura kar liye jaayeinge,

kuch din to guzar gaye tumhaari aarjoo ke chalte,
aur kuch tumhaare intezaar mein guzar jaayeinge.

kaun kehta hai ke sangdil ho gaye ho tum?
kaun kehta hai ke tangdil ho gaye ho tum?

hum to jab bhi tumhaare dar pe pahunche, 
aksar woh bhi paaya jiski ummeed naa thi ke paayeinge.

mukkaddar jaane kaun kehta hain, 
ke woh khuda likhta hai,

meri kismat to har baar tum hi likhte rahe,
jab bhi socha ke naseeb shaayad ab ke badal jaayeinge.

kuch lamhein tumhaare ab tak mere paas rakhe hain, 
main ussi mord pe thehraa hoon,
iss ummeed se ke shaayad..

woh waqt palat ke aaye yah naa aaye, 
tumhaare kadam tumhein waapas le hi aayeinge,

bas ek adna sa intezaar hai ab to,
saans lene aur jeene ke darmiyaan,

dekhein ab baaki ki zindagi..
hum saans lekar yah jeekar bitaayeinge?

zindagi ki dhup chaanw ne chalte rehne ka hunar sikha diya

hum khush hain ke dil mein, 
tamannaayein ab tak machalti hai. 

har roz tut-ti hai ek aas, 
har roz nayi ummeed banati hai. 

aksar tannha gujarte hain apne din,
par iss tanhaai mein bhi lutf aata hai. 

mera aashikana mijaaz to dekhiye, 
mujhe hawaaon aur ghataaon se bhi,  

mohabbat ka paigaam aata hai, 
meri tannha raaton ne mujhko, 

inn chaand sitaaron ke kareeb la diya, 
zindagi ki dhup chaanw ne, 
chalte rehne ka hunar sikha diya. 

us raat main so naa paaya

us raat tum to so gayi par main naa so paaya,
tumhein raat bhar sote huye dekhta raha,

dekhta raha ke tum neend mein,
kitni baar muskuraati ho,

dekhta raha ke paseene ki,
jhun-jhulaahat mein kitna chatt-pataati ho,

aahista-aahista leta tha saansein,
khalal na pad jaaye tumhaare khwaabon mein,

kyonki jaanta hoon ki halki awaaj se bhi,
tum aksar jaag jaati ho.

us raat main so naa paaya,
pehron tumhein dekhte jo rehna tha, 

yeh mauka main kho naa paaya,
kayi baar chaaha ke tumhein chhu kar dekhoon, 

kayi baar haath badhaaya,
par tumhein chhu naa paya,

tumhaare uthte-girte se badan par
main tumhaari saansein ginta raha,

tumnein to anjaane mein hi sahi,
haath rakh diya mere seene par,

lekin main chaahkar bhi,
tumhaari dhadkane naa sunn paaya.

raat bhar tumhaari saansien
mere jism se takraati rahi, 

raat bhar tumhaari yeh nazdikiyaan lekin..
ek doori ka ehsaas karwaati rahi,

kitni hi baar tumhaara woh dupat-ta bhi,
tumhaare badan se sarak jaata tha,

khidki se jhaankta woh chaand bhi shaayad, 
meri haalat pe taras khaata tha,

main kabhi moond leta palkein,
aur kabhi woh baadlon mein chhup jaata tha,

aaj jab bhi main un palo ko yaad karta hoon,
tumhein kuch simta aur sakuchaya sa paata hoon,

kyon bhool jaati ho ke tum mere nahi huye to kya..
main tumhara... tumhara... 
sirf tumhara raha..

mar jaaoonga main iss chupi se

jaan yeh meri, haazir hain jaanam,
le jaao isko, agar chaho tum.

dil hai yeh mera, khilona nahin hai,
khelo na aise, iss dil se tum.

pyar yeh mera, bikau nahin hai,
sacchai ko tum, jaan lo aaj.

resham si mulayam, phoolon si mehak hai,
pankhudi jaise, komal yeh dil hai.

na cheero tum isko, na cherd jaao,
na kehna isko, sanam bewafa…

doob jaaonga, mein dukhdha mein,
ubar na paaoonga, main kabhi.

kuch to kaho, aye zulmi mera pyar,
aise na chup ho, tum mooh phere.

mar jaaoonga main, iss chup chupi se,
kuch to kar ya, phir maar daal.

main bhi iss bheed ka hi hissa ho gaya

main bhi iss bheed ka hi hissa ho gaya,
kuch dekha aur bas apni raah ho gaya,

in maasoom nigahon ke sawaalon se dar jaata hoon,
bas yahi soch ke inki raahon se katraata hoon.

ek umr udne ke baad ummeed ne dum tord diya

woh parinda apni choti si umr se, 
achhi udan bhar leta tha, 

nadi-pahad to choti baat thi, 
woh saagar tak paar kar leta tha, 

aksar apni chhamtaon ko dekhkar, 

woh foola nahi samata tha, 

aatmvishwas abhimaan ban-ne laga tha uska, 

ab woh zameen par panw na rakh paata tha, 

yun to aksar nazar aata tha woh, 

ek roz chaand usse bha gaya, 

chahat sirf nigaahon tak naa rahi, 
uska dil chaand par aa gaya, 

apni naadaan chaahat ke chalte, 

woh apne paroon par, 
kuch jada hi vishwas karne laga.

chaand ki doori se anjaan, 

woh apni udaan bharne laga,

ek umr udne ke baad uski, 
ummeed ne dum tord diya,

iraade to majboot the uske, 

par uske paroon ne saath chord diya,

apni iss naakaami ke chalte, 

usne paroon ko fad-fadana chord diya,

girne laga waapas zameen par, 

aur jeene ka khayal chord diya,

shayad uske naseeb mein, 

dard aur bhi paana tha,

mar naa saka iske baad bhi, 

woh  jaan gaya tha ab usse, 
dobaara naa urd paana tha.

aaj bhi takta hai chaand ko, 

woh ussi se nazrein bachakar,

phir moond leta hain palkon ko, 

shaayad apne aap pe sharmakar.

har raat ke baad ujli subeh ho 

yeh jaroori to nahi,

ghtaaein bhi chha sakti hai, 

ho sakta hai kuch haasil ho tere inetzaar se 
par zindaagi ka koi waada bhi nahi aye dost, 
mout kisi waqt bhi aa sakti hai...! 

aaakhir yeh kya maazra hai, main samajh naa paata hoon

woh jo aasmaan se barasta hai, 
woh baadal to samajh aata hai, 

woh jo boondon ko tarasta hai, 
woh paagal bhi samajh aata hai, 

par imtehaan tera ho, 
aur neendein meri raaton ki urd jaaye, 

aaakhir yeh kya maazra hai, 
main samajh naa paata hoon.

rab ho kar bhi sab jaisa hai

tu kyun aisa hai? 
rab ho kar bhi sab jaisa hai. 

aisa hum ko lagta hai, 
tu bhi zaalim jag sa hai,

jab se tum ko jaana hai, 
bebasi ne loota hai, 
umeed ka daman chorda hai, 

dil ki ujjdi basti mein, 
patta-patta sookha hai, 
mujh ko kwahish hoti hai, 
meri guzaarish choti hai,

rok do gham ki baarish ko, 

kehte yeh mere aanshun hain. 

hum bin khata kiye gunnahgaar huye

bin kuch kiye, barbaad huye, 
na jaane kyun hum sab ke liye, 
sab ke baad huye..

hum bin khushi ke muskurate hain, 

chupa ke apne aanshun bahate hain, 
doosron ke gham mitta-te huye, 
hum bin khata kiye gunnahgaar huye.

hum ko yaad aata hai, 

aur zamana chala jaata hai, 
hum ko hi bhulate huye,

ab nahi aur jeena mere khuda, 

bula le humein aur na rakh juda, 
na humein samander mein yun jalaate huye.

All Time's Favourite Posts