main ek smander ki sahil ki rait ka zarra hoon,
har pal ek nayi laher ke sath behta hoon,
kabhi lahroon se kehta hoon kabhi unki sunta hoon,
kabhi un par hasta hoon kabhi unke sath roota hoon,
kabhi un par jeeta hoon kabhi unke sath marta hoon,
main ek smander ke sahil ki rait ka zarra hoon,
har pal ek nayi laher ke sath behta hoon.
le-jaati hai woh mujh ko door kahi,
phir chord jaati hai woh mujh ko yahi,
lamba safar yeh kat-ta hi nahi,
koshish karne se kuch hota hi nahi,
sochta hoon tanhai mein yahi,
ki mujhe bhi milega kya mukamal-jahaan kabhi,
ya behta rahunga har pal,
ek nayi laher ke sath sada yunhi..?
har pal ek nayi laher ke sath behta hoon,
kabhi lahroon se kehta hoon kabhi unki sunta hoon,
kabhi khamoosh sa rahta hoon,
kabhi unki bandagi karta hoon,
kabhi unki darendagi sehta hoon,
kabhi unki bandagi karta hoon,
kabhi unki darendagi sehta hoon,
kabhi un par hasta hoon kabhi unke sath roota hoon,
kabhi un par jeeta hoon kabhi unke sath marta hoon,
main ek smander ke sahil ki rait ka zarra hoon,
har pal ek nayi laher ke sath behta hoon.
le-jaati hai woh mujh ko door kahi,
phir chord jaati hai woh mujh ko yahi,
lamba safar yeh kat-ta hi nahi,
koshish karne se kuch hota hi nahi,
sochta hoon tanhai mein yahi,
ki mujhe bhi milega kya mukamal-jahaan kabhi,
ya behta rahunga har pal,
ek nayi laher ke sath sada yunhi..?
No comments:
Post a Comment