begana yahan har apne ka chehra dikhai deta hai

yeh shehar ek bejaan sa sehra dikhai deta hai,
murda dilon par dhardkanon ka pehra dikhai deta hai.

aankhon se chalakta hai khoon paani ki jageh,
har seene mein zakham koi gehra dikhai deta hai.

har shaksh dhoondhta hai khoi manzil ke nishaan,
raahon mein pada gardish ka kohra dikhai deta hai.

kya shikwa karein gairon ki bewafai ka ab hum,
begana yahan har apne ka chehra dikhai deta hai. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts