bichrda to dard rooh ki gehraiyun mein tha

bichrda to dard rooh ki gehraiyun mein tha, 
ho ke juda bhi tu meri tanhaiyon mein tha. 

deewangi ko meri ishq mante hain sab,
rushwa tu bhi saath meri rushwaiyun mein tha.

ankhon se anshuon ke sath arman nikal gaye,
yeh kaisa dard aaj inn shehnaiyon mein tha.

tujh ko pa ke dil ko kabhi chain na mil saka,
kitna sakoon haaye un judaaiyon mein tha.

fursat mile to dekh kabhi meri kismat bhi,
aasra tha tujh pe, teri khudaiyon pe tha.

ban ke deewana aaj jo phirta hai dar-badar,
hai yaad kya tujhe tere shaidaiyon mein tha.

raaton se main daron ki neendon mein aa na jaaye,
subah bhi meri dhoop ki parchaiyon mein tha.

tu jis ka naam dil mein basaye hai,
badnaam woh gali-gali harjaiyon mein tha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts