aksar samay thehar sa jaata hai kyon

bhooli bisri yaadien 
aksar yaad aati hain kyon? 
bhool gaya tha jisko dil 
aksar khyalon mein aata hai kyon? 

sikh liya tha jiske bina rehna 

aksar uski yad mein rona itna bhata hai kyon?
purani baaton ko yaad karke 
aksar dil bhar sa aata hai kyon?

woh ab bhi chahti hai mujhe 

aksar aisa khyaal aata hai kyon?
uske sath ko yaad karke 
aksar dil behal sa jaata hai kyon?

masoom chehra uska 
aksar palak jhapka ke dikh jaata hai kyon?
bholi addaon ko yaad kar ke 
aksar samay thehar sa jaata hai kyon?

kyon hum unki yaadon ko  
bhula naa paye hain abhi tak?
aur unko yaad kar ke 
aksar ungliyan chal jaati hai kyon? 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts